Difference Between Asynchronous and Synchronous Ads

Difference Between Asynchronous and Synchronous Ads
Dosto aj mai app ko Asynchronous and Synchronous adsense ads code dono me kya fark hai or inme se kounsa ads code use karna jyada better hai uska bara ma batauga
Asynchronous and Synchronous me difference kya hai, Ye samajhan mushkil to hai but mai simple tarike se aapko samajhane ki koshish karunga. Aap post ko pura or dhyan se padhiye.
Difference between Asynchronous and Synchronous AdSense Ads
Jab hum adsense par ads create kar ke ads ka code copy karte hai to ads code ki jo popup windows khulti hai. Usme 2 type ke ads code hote hai Asynchronous or Synchronous hote hai. Adsense  ne ye do type ke ads code kyo banaye hai or inse adsense user ko kya benefit hai. Agar aap iske bare me janna chahate hai to ye article aap ke liye hi hai.

Asynchronous Vs Synchronous dono me jyada difference nahi hai. But ek nazar se dekha jaye to dono me din rat ka antar hai. Bas wohi mai aapko is post me samajha raha hu.

Asynchronous Ads Code: Asynchronous code use karne par humari site par sabhi ads ek sath show hote hai. Yani man lijiye humne 1 page me 3 ads lagaye hai to wo sab ek sath display honge. Or isse site ki loading speed par koi fark nahi padta hai.
Aar hum Asynchronous ads code use karenge to humare visitor ko uske exprience ke aadhar par ads show honge. Jaise kisi ko cricket pasand hai to use cricket ke ads dikhnege. Same ayse hi sabhi visitors ko apni apni pasand ke ads dikhenge.

Synchronous Ads Ads: Synchronous ads code asynchronous bilkul alag hai. Agar aap Synchronous ads code use karte ho to visitors ko sirf aapki site content ke hisab se hi ads dikhnege. Yani aap jis type ke keywords post me use karoge adsense bhi wese hi ads use karoge. Isse hume kam se kam ads click milte hai kyuki user sirf apni pasand ke ads par hi click karta hai.

Agar aap Synchronous ads code use karte ho to aapki site par ads ek sath show nahi honge. Sab ek ke bad ek show honge jaisa agar aapne ek page par 3 ads use kiye hai to 3 no ads ek ek kar ke 1, 2 3 ke hisab se open honge.
(———-1———-)(———-2———-)(———-3———-)
First to aap upar btaye difference se hi jan gaye honge ki dono me se konsa acha hai or kis se jyada benefit milta hai. But fir bhi agar aap iske bare me bhi janna chahate ho to mai aapko iske bare me bhi bta deta hu.
  1. Asynchronous ads code use karne se sabhi ads ek sath open hote hai jabki synchronous use karne se ads ek ek kar ke open hote hai. Isliye synchronous ads code visitors sahi ads dekh nahi pate hai or hume kam click mlite hai. So  Asynchronous use karna better hai.
  2. Asynchronous user ko uski pasand ke hisab se ads dikhai dete hai. Or achi bat ye hai ki isme post content ke hisab se bhi ads show hote hai. But synchronous code use karne se sirf post content se related ads hi show hote hai. Show user apni pasand ke ads show nahi hone par kam click karte hai.
So Asynchronous use karne ko synchronous use karne ko se jyada benefit dene wala version hai. Or sabse badi bat Khud google bhi recommend karta hai ki hum Asynchronous ads code hi use kare. Jisse wo freedomly ads show kar sake or hum ko acha benefit mil sake. In my case mai humesha apne blog par Asynchronous use karne ko type ke ads code hi istemal karta hu. Iske bare me adhik jankari ke liye aap google adsense help form check kar sakte hai.
Asynchronous and Synchronous se related kuch questions or unke answers:

Q – Kya mai Asynchronous and Synchronous dono ads code ek sath use kar sakta hu?
A – Nahi, aap Asynchronous or Synchronous dono ads code use nahi kar sakte.

Q – Kya adsense Asynchronous code ka samrthan (Support) karta hai?
A – Yes, Adsense Asynchronous code use karne ka samarthan karta hai.

Q – Mujhe adsense ads ke ek se jyada ads me HTML Javascript “<script async src=”//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js”></script>” use karne ki kya jarurat hai kya mai adsense ads me se javascript ko delete kar sakta hu?
A – Nahi aap adsense code me se HTML Javascript ko remove nahi kar sakte ye aapko har ads me use karni hogi.


Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.