Increase Your Chance to Approve AdSense-Hindi Ma

Increase Your Chance to Approve AdSense-Hindi Ma
Ager apna koi site ya YouTube pr video upload kr ka paisa kamana chata h to apko AdSense ki jarurat paragi jiska jariya app paisa kama sakta h. Lakin ager app India ya China ka rahana wala h to AdSense ko approve karana asan nhi hota h isiliya aj mai apko kuch bata batana wala hu jisa padh kr aur dhayan ma rakh kr app kam kra to apki Adsense approve ho jayagi.



AdSense Kya H
AdSense Google ki hi ak service h jo apko Ads dati h jisa app apna site ma laga kr paisa kama sakta h. Jab koi visitor uss ads pr click karta h to apki income hoti h.
Ab app sochta honga ki ya hama kis type ki ads dati h. To mai apko bata du AdSense ko bari bari aur popular companies apna brand ki promotion ka liya bahut sara paisa dati h aur AdSense uss brand ki promotion Ads ka jariya karti h jab app uss ads ki link ko apna site pr lagata h aur koi visitor uss ads pr click karta h to appki income hoti h.

AdSense sa income pana ki rule 
CTR (Click throw Rate)- Iska matlab ya h ki aapko per click ke kitne paise milte hai. Man lo aapko $0.03 per click milte hai to ager 100visitor uspr click karta h to $0.03/100=$3.00 income hote hai. 

CPC (Cost Per Click)- Ya adsense ke ads ki company par nirbhar hai. kyuki jo company adsene ko jitne jada paise degi. adsense hume utna hi commission dega. to cpc kam jada hoti rahti hai. CPC lagbhag $0.25 se$2.00 tak ho sakti hai.

To ab app adsense ka liya apply karna sa pahala ya savi bata dhayan sa padh la taki apka adsense account jaldi sa approve ho jaya.

1. Adsense ki Term and policies
AdSense ki term and conditions ko accha sa pado jada tar log padte hi nahi to unko pata hi nahi chalta bo kaha galti kar rahe hai aur unka adsense account approve nhi hota h.

2. Copy, Paste Na kare
Kahi se copy to karne ki sochna bhi nahi nahi to hoga ye ki naa hi search engine me aapki site aayegi or naa hi koi visitor aana pasand karega, q ki unko pata hoga ki ye contact isne yaha se copy kiya hai. Or rahi baad adsense approve hone ki to uske bare me to sochiye bhi mat ki aap copy karke post daaldoge or aapka adsense account approve ho jayega. Bhut log sochte hai thoda change karke daal dete hai or kabhi kabhi account approve bhi ho jata hai par jiska original contact hai agar usko pata chata hai or agar unse Google me repost kar di to aapka article bhi delete ho jayega, Adsense account bhi disable ho jayega. To muje is topic par jada samjane ki koi jarurat nahi hai aap samaj gaye hoge ki copy-paste nahi karna hai.

3. Website ma accha Content dala
Apni site par achi se contant ko dalo, kamse kam 50 se 100 badiya article dalo. Ache Aticle se ye matlab nahi ki jo phele se ho dusri sites par unko dalo, kuch apna dalo jisse log apka site pr kuch new chiz ko sikhna aur panda ka liya aya.

4. Simple and Clean Template use kara
Simple Template use kare, jo dekhne me clean ho. Jo fast load hota ho aur Mobile Friendly ho.
Background me koi Image naa ho taki site ko load hone me aasani ho.
Faltu ke widget ko add naa kare, Simple Facebook Like box , or dusre social button ko add kare.

5. Sirf Images Post na kara
Agar aapka koi Blog hai or aap uspar Image hi daate ho to sorry aapke blog par adsense account approve nahi hoga. Bhut sari Image problem nahi hai, problem ye hai ki search engine ko Image me kya hai ye samaj nahi aata or isliye adsense bhi approve nahi hota. Agar aapka Photography ka blog hai or aap uspar apni Images daalte ho. Jese ye ek blog hai Pic Jumbo . To aap in steps ko follow karo
A. Image ke caption me kam se kam 100 likhe.
B. Heading me or Footer me Text use kare.
C. Jo Image hai uske baree me bhi accha se likhe .
D. Image ko kahi se copy naa kare. Copyrighted images me dikkat ho sakti hai, apni khichi huii image hi use kare.

6. Koi Cheating na kara
Matlab bhut log adsense ko apply karte hai fir ulte kaam karte hai. jese apne dosto se khete hai ki ads par click kare, khud alag alag computer par apne ads par cick karte hai. aesa karne par ham unki sarto ka palan nahi karrahe hote or jese hi unke system ko iski jaankari milti hai hamara adsense account bhi disapproved ho jata hai. To aesa karne ka soche bhi nahi.

7. Adult Content use na kara
Ager apna Website banaya h aur ager app uss pr kuch Adult (Porn) content dalna ka bara ma soch rha h to galti sa v na kara q ki ager app aisa karta h to app ki impartation AdSense ka liya kharab hogi aur apka AdSense approve nhi hoga
  
8. Traffic badao fir apply karo
Mene bhut logo ko dekha hai ki Blog banke teyaar huaa nahi ki adsense ko apply karne lage. Adsense Disapprove to hona hi hai. or agar maan lo ki adsense approve ho bhi gaya to or blog par din me 100 visitor aate hai to income bhi naa ke barabar hogi. to phele traffic badane par diyaan do Paise to apne aap aayege. Mene bhut se logo ko dekha hai jinke 1+ lakh se jada visitor aate hai unki site par per day fir bhi unhone adsense ke liye apply nahi kiya q ki uska main maksad traffic ko badana hota hai. or paise kamane ke dusre upai bhi hote hai.

9. Galat Robot.txt ka use karna
Ager app na apna Blog pr galat Robots.txt add kiya h to app ka AdSense account approve nhi hoga q ki Adsense account approve karna sa pahala AdSense ki team appki site ko scan karti h aur ager apki site ma unha kuch v galat laga to AdSense approve nhi hoga.

10. Site 6 Mahine purani hona chaiye
India or China or kuch country me Adsense ke account ke liye Site kam se kam 6 mahine purani hona chaiye. Ek tarike se dekha jaye to ye badiya hai q ki ham 6 mahine tak badiya post daalte hai to hamari traffic bhi bad jati hai. jisse ham jab 6 mahine baad hamari site ke liye adsense approve ho to hamari income bhi badiya ho sake.

11. Ye page hona jaruri hai
About Us , Contact Us, Terms ke page bhi apne site me add kare isse adsense ko apka bare me samaje me aasani hoti. About page me apne or apne blog ke bare me bataye, Contact us me apna Email Id Dale or ek contact form bhi add kare taki uska istmaal ker ka koi bhi aap se contact kar saka. Terms me bataye ki aapke site par jo visitor aata hai aap unki kya kya jaankari lete ho bagera bagera.

12. Supported Language Use kara
Hamara AdSense account approve nhi hoga jab hm apne blog par koi ayse Language ka use karege jo AdSense support nahi karta h. Khus khabri ki baat ye hai ki ab adsense Hindi bhi Support karta hai.

Also Read: Facebook Popup Like Box add kara Website ma
                  Apna Website/Blogger ma Category Gadget add kara
Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.