Kisi v bank ma Current account kaisa open kara

Kisi v bank ma Current account kaisa open kara
App to janta hi honga ki aj kal koi v paisa ka transaction ka liya kisi v bank ma account hona bahut jaruri h. Aur aj kal lagvag lagvag savi paisa ka lan dan online sa hi hota h, q ki ya bahut hi secure aur easy h jissa app ghar baitha baitha kisi aur ka account ma paisa vaj sakta h aur apna account ma paisa maga v sakta h aur ya sab E-Banking ka jariya hi ho paya h.




Aj mai appko batana wala hu ki kisi v bank ma Current account kaisa khola jata h, taki app apna business ma paisa ka lan dan asani sa kar saka Current account ka jariya.



Current account kya h:
Bank ma mainly 2 taraha ka account khola jata h pahala Saving account jo aam public ka liya h. Isma app jo paisa apna account ma jama karta h uss per appko interest milta h, jo banks ka dawara deside kiya jata h.
Aur dusra hota h Current Account ya account koi company ya koi popular people (Jaisa Film Stars) apna paisa ka lan dan ka liya open karta h. Isma paisa ka uper koi interest nhi milta h lakin issma Over Draft facility h.

Kya Kya Docoments Lagaga:
Current account khulana ma appko kuch documents ki jarurat paragi jisski list mai appko niche da rha hu.

1.       PAN card: Current account khulwaney ke liye app ko PAN number ki jarurat hogi.
2.       Property Document / Lease / Rent Document: Yadi aap ki apni property hai then property documents, yadi aap jahan per business kholna chahatey hai, wo Lease per hai to lease documents, Rent per hai to rent documents, aap ko photo copy or original submit karnay hongey.
3.       NOC (No Objection Certificate): App jaha business start karata h to waha sa appko NOC certificate milta h usa v bank ma submit katna hota h.
4.       Guarantee: Current account khulwaney ke liye aap ko 1 Guarantor ki bhee zarurat hai, Mager dhyan rahee aap ko current account key liye kisi dusra jissa pass pahala sa current account h wahi guarantor ban sakta h.
5.       Address Verification Documents: Voter card, Aadhar Card or any other address document.
6.       Identification Documents: Voter card, Aadhar card or any other identity document


Bank ma Current account kholna ka process:
Ab mai appko batata hu ki kaisa app Bank ma current account khula sakta h. Sabsa pahala Bank ka Current account ka form apnay ghar ya office mai laakar aaram  sey fill karain, jahan zarurat ho photograph glue se chipkayen, Staple nahee karein, Apnay Signature sabhee jagah dhyaan se kar dein, Aapkay guarantor kay signature with stamps hona chahiye. Aur ab apnay sabhee required documents ko form kay saath lagakar bank me submit kardein. Yadi koi kami hogi to bank aap ko batadega ki yahan aap ko ye information ya document bhee submit karna hai. Jab aap apna form submit karna jaye to apnay sabhee original documents zaroor saath lekar jaye q ki bank manager usa v dakh sakta h. Jab Bank aap ka Application accept kar lega, tab aap ko apnay account me minimum Rs.5000/- deposit karna hota hai. Ya uss time bank ka jo bhee minimum amount current account opening charges hai bank wale aapko bata denge, Aap ka account open ho jata hai, aur aap kay, account confirmation documents aap ko via post 8 to 10 days me aap ko mil jayaga.

To ab app samaj hi gaya honga ki kisi v bank ma current account kaisa khulaya jata h, ager appko kahi huch v problem ho to hama comment ka jariya puch sakta h.



Agar apko ya blog sa related aur v kuch jankari chaiya to please comment kara aur ager ya post acchi lagi ho to issa share jarur kara.

Comment Rule:
1. Aap direct comment ma apna link nhi da sakta h lakin ager aap kisi ki help karna ka liya ussa reply ka jariya koi v link provide kar sakta h.
2. Ager aap koi problem ka solution ka liya comment ker rha h to "Notify Me" per jarur click kara.